Saturday, October 20, 2012

Panno Ke Beech...

छोटी  छोटी सी  खुशियाँ 
जो तोफे  में  मिली थी मुझको ,
आज भी महफूज़ है तुम्हारी
दबी हुई सी हँसी के बीच 

छोटे छोटे से जस्बात 
जो तुमने आखों में छुपा रखे थे 
आज भी संभालकर रखे हैं मैंने
धुंधले से कुछ पन्नों के बीच

दौड़ती हुई ज़िन्दगी को चुनौती देते 
फ़लक  की गहराईयों को ढूँढते हुए 
मुड़कर तो कभी देखा ही नहीं

सरहदों के पार मिला था जो 
पागल, उन्माद सा एक मौसम का झोंका 
बहते बहते एक दिन रुक गया था कहीं 

कितना आसान होता अगर 
वक़्त का रुख यु ही मोड़ लेते  किसी रोज़ 
अधूरी सी जो ये ज़िन्दगी है , पूरी कर लेते किसी रोज़ 
यादों को जैसे पलटकर देख लिया करते हैं किसी रोज़ 

आज भी वो स्याही कभी  रूकती तो नहीं 
किताब मे रखते जाते पुराने वो तस्वीर 
एक फूल जो रख दिया था संभालकर 
आज मिल गया है मुझे इन्ही पन्नो के बीच ...



Chhoti chhoti si khushiyan
Jo tofey mein mili thi mujhko,
Aaj bhi mehfuz hai tumhari
Dabi hui si hasi ke beech

Chhote chhote se jasbaat
Jo tumne aankhon mein chhupa rakhe thay
Aaj bhi sambhalkar rakhe hain maine
Dundhle se kuch panno ke beech...

Daudti hui zindagi ko chunauti dete
Falak ki gehraiyon ko dhuntey huye
Mudkar to kabhi dekha hi nahi...

Sarhadon ke paar mila tha jo
Pagal, unmaad sa ek mausam ka jhaunka
Behte behte ek din ruk gaya tha kahin

Kitna aasaan hota agar
Waqt ka rukh yu hi mod lete kisi roz
Adhuri si jo ye zindagi hai, poori kar lete kisi roz
Yaadon ko jaise palat kar dekh lete kisi roz

Aaj bhi wo syaahi kabhi rukti to nahi
Kitaab mein rakhte jaate puraane wo tasweer
Ek phool jo rakh diya tha sambhalkar
Aaj mil gaya hai mujhe inhi panno ke beech...



No comments:

Post a Comment